Zillat-e-tanhai se ghabra ke aae hon,
Main abhi abhi shehr-e-wafa se aae hon.
Kuch dair hawa ko baton mein lagae rakhna,
Main ghar mein ek charagh jala ke aae hon.
Usne pocha hai ehad-e-wafa nibhahon gi,
So hathon mein Quraan utha ke aae hon.
Wo chahe to ab mujh se tark-e-taluq kr le,
Wo meri zindagi hai usse bta ke aae hon.
Wo ab be mujhe anna-parst samjhta hai,
Main jise roo roo ke mana ke aae hon.
No comments:
Post a Comment